jo ye kahte the ki mar jaana hai
un se jine ka hunar jaana hai
kis ne socha tha ki KHud se mil kar
apni aawaz se Dar jaana hai
hadisa maut nahin insan ki
hadisa KHwab ka mar jaana hai
hazrat-e-dil ko manana hoga
aaj phir us ki Dagar jaana hai
kuchh hawa, aag, zamin, aab, falak
phir mujhe lauT ke ghar jaana hai
ek baalisht nahin jis ki chhanw
tum ne us ko bhi shajar jaana hai
sath rakh mujh ko baDha le qimat
go mujhe tu ne sifar jaana hai
aaj phir tum ko nahin DhunDh saka
dil ko sahra mein pasar jaana hai
aap bhi suniye kaha hai dil ne
aaj har had se guzar jaana hai
silsila toD rahe ho kyunkar
silsila KHud hi bikhar jaana hai
yaad ki ghas to gili hai bahut
ab dhuan dil pe pasar jaana hai
dil ko sairab kiya ashkon se
hum ne rone ka hunar jaana hai
apna jo bhi tha wo sab chhuT gaya
ye magar waqt-e-safar jaana hai
Ghazal
Jo ye kahte the ki mar jaana hai
Navneet Sharma