jo tumhein yaad kiya karte hain 
aah-o-fariyaad kiya karte hain 
kaam un ka hai shab-o-roz yahi 
sitam ijad kiya karte hain 
tere mai-KHane ko ai pir-e-mughan 
hamin aabaad kiya karte hain 
apni wahshat se tere diwane 
dasht aabaad kiya karte hain 
jam-e-mai pi ke shab-e-furqat mein 
dil ko hum shad kiya karte hain 
masale shaiKH ke jo sunte hain 
umr barbaad kiya karte hain 
'mashriqi' koi sune ya na sune 
hum to fariyaad kiya karte hain
        Ghazal
Jo tumhein yaad kiya karte hain
Sardar Genda Singh Mashriqi

