اردو हिंदी
Jo tum aur subh aur gulnar-e-KHandan ho ke mil baiThe | Shaahi Shayari
jo tum aur subh aur gulnar-e-KHandan ho ke mil baiThe

Ghazal

Jo tum aur subh aur gulnar-e-KHandan ho ke mil baiThe

Baqaullah u0027Baqau0027

;

jo tum aur subh aur gulnar-e-KHandan ho ke mil baiThe
to hum bhi un mein ba-chaak-e-gareban ho ke mil baiThe

nahin khulte jo lun us shahd-lab se bosa-e-sani
ye lab yun bosa-e-awwal mein chaspan ho ke mil baiThe

uDa dun dhajjiyan dil ki agar in mein se koi bhi
qaba-e-surKH mein teri gareban ho ke mil baiThe

ye juzw-e-ham-digar hain ai kaman-abru ojab mat kar
jo dil tere sar-e-nawak pe paikan ho ke mil baiThe

abhi dil jama hai ai shana kar jaldi suragh is ka
mabaad us zulf-e-mushkin mein pareshan ho ke mil baiThe

suna ai tifl jab muzhda teri maktab-nashini ka
ye ajza-e-dil-e-sipara quran ho ke mil baiThe

hamara rashk se dil jal ke KHakistar ho ya qismat
aur in damon mein missi zeb-e-dandan ho ke mil baiThe

ye wo majma nahin naseh jahan ho daKHl dana ko
magar tujh sa koi makkar nadan ho ke mil baiThe

ye insan za pari-wash aise dilkash hain ki be-wahshat
pari aawe agar in mein to insan ho ke mil baiThe

ye atfal-e-hasin aashiq ka ji lene mein shaitan hain
jiye aashiq wahi un mein jo shaitan ho ke mil baiThe

'baqa' hum gabr-e-na-muslim the par aa kar ba-na-chaari
wo muslim-zada tiflon mein musalman ho ke mil baiThe