اردو हिंदी
Jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake | Shaahi Shayari
jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake

Ghazal

Jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake

Saib Asmi

;

jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake
wo shab-e-firaq ki dastan bhala kya kisi ko suna sake

kai sar se guzrin qayamaten paDin hum pe lakh musibaten
din falak ne kitni aziyyaten tumhein dil se hum na bhula sake

tu wafa-shanas zarur hai ye tamam apna qusur hai
ye ajab junun ka ghurur hai tere aastan pe na ja sake

wahi dard-e-dil ki hai dastan jo hamesha dil mein rahe nihan
kare ek bar koi bayan to zamane-bhar ko rula sake