jo shaKHs mera dast-e-hunar kaT raha hai
nadan hai shadab shajar kaT raha hai
kya yaad nahin zulm ka anjam zamane
kya soch ke sachchai ka sar kaT raha hai
fitrat ko kai chehron ki parton mein chhupa kar
jaane ye saza kaisi bashar kaT raha hai
tarif gham-e-hijr ki kya mujh se bayan ho
ek zahr hai jo qalb o jigar kaT raha hai
dil aaj tere ahd-e-mohabbat ke bharose
tanhai ka dushwar safar kaT raha hai
kal sath tha koi to dar o baam the raushan
tanha hun 'wasim' aaj to ghar kaT raha hai

Ghazal
Jo shaKHs mera dast-e-hunar kaT raha hai
Waseem Malik