jo sang ho ke mulaem hai sadgi ki tarah
pighal raha hai mere dil mein chandni ki tarah
mujhe pukaro to diwar hun suno to sada
main gunjta hun fazaon mein KHamushi ki tarah
main us ko nur ka paikar kahun ki jaan-e-KHayal
jo mere dil pe utarta hai shairi ki tarah
kisi ki yaad ne mahka diya hai zaKHm-e-talab
saba ke hath se masli hui kali ki tarah
thaka hua hun kisi sae ki talash mein hun
bichhaD gaya hun sitaron se raushni ki tarah
main apne karb mein ghaltan wo apne kaif mein gum
hai is ki jit bhi meri shikast hi ki tarah
KHizan ke zahr ka tiryak agar nahin yaro
gulon ki baat hai be-waqt ragni ki tarah
Ghazal
Jo sang ho ke mulaem hai sadgi ki tarah
Akhtar Imam Rizvi