jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya
magar wajud pe apna nishan chhoD gaya
har ek chiz mein KHushbu hai us ke hone ki
ajab nishaniyan wo mehman chhoD gaya
na sath rahne ka wada agar kiya pura
zamin ka sath agar aasman chhoD gaya
zara si der ko baiTha jhuka gaya shaKHen
parinda peD mein apni thakan chhoD gaya
wo waqia mera kirdar ubharta tha jis mein
Kahani-kar usi ka bayan chhoD gaya
simaTti phailti tanhai sote jagte dard
wo apne aur mere darmiyan chhoD gaya
bahut aziz thi nind us ko subh-e-kazib ki
so us ko sote hue karwan chhoD gaya
raha 'riyaz' andheron mein nauha karne ko
wo aankhen nochne wala zaban chhoD gaya
Ghazal
Jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya
Riaz Majeed