jo roz ki hai baat wahi baat karo ho
bekar hi yaro gham-e-haalat karo ho
ek mujh se hi milne ko tumhein waqt nahin hai
auron pe to aksar hi inayat karo ho
ye tarz-e-takallum tumhein aaya hai kahan se
honTon se jo ye phulon ki barsat karo ho
kyun chand se chehre pe gira rakhi hain zulfen
kyun din ko amawas ki siyah raat karo ho
be-wahm-o-guman rah mein mil jate ho aksar
danista kahan mujh se mulaqat karo ho
Ghazal
Jo roz ki hai baat wahi baat karo ho
Javed Naseemi