jo mera hosh ka aalam hai be-KHudi to nahin
main jis ko apna samajhta hun ajnabi to nahin
KHuda-gari ka ye mahir kuchh aur hi shai hai
tum aadmi jise kahte ho aadmi to nahin
ye aur baat hai mahrum-e-iltifat hun main
tere karam ke KHazane mein kuchh kami to nahin
subut milta hai us se kisi talluq ka
kamal-e-barhami-e-dost dushmani to nahin
nigah-o-dil mein bhi lazim hai ek murawwat-o-kaif
numud-e-ariz-o-gesu hi dilbari to nahin
nuzul-e-barq hai shayad ye aashiyanon par
tu raushni jise samjha hai raushni to nahin
tumhaare chehre pe aasar hain KHushi ke magar
jo mere chehre se zahir hai wo KHushi to nahin
piye sharab ibaadat-guzar hue ai shaiKH
magar huzur ye shayan-e-bandagi to nahin
na jaane kyun mere dil ko yaqin nahin aata
jo tu ne jalwa dikhaya hai aarzi to nahin
suna hai tauba se hota hai taza-tar iman
hazar shukr ki ye aariza abhi to nahin
tabahiyon ke liye mustaid hain ahl-e-jahan
ye aagahi kahin tauhin-e-agahi to nahin
bas ek marg-e-musalsal bas ek ranj-e-dawam
kuchh aur shai hai ye ai 'arsh' zindagi to nahin
Ghazal
Jo mera hosh ka aalam hai be-KHudi to nahin
Arsh Malsiyani