jo la-mazhab ho us ko millat-o-mashrab se kya matlab
mera mashrab hai rindi rind ko mazhab se kya matlab
kitab-e-dars-e-majnun mushaf-e-ruKHsar-e-laila hai
harif-e-nukta-dan-e-ishq ko maktab se kya matlab
hasinan-e-do-alam mein hai jalwa husn-e-yakta ka
nazar mein husn-e-yakta jab hua un sab se kya matlab
hamara hosh har-dam aashna-e-nahnu-aqrab hai
huzuri jis ko hasil ho use yarab se kya matlab
tamannaen bar aain apni tark-e-muddaa ho kar
hua dil be-tamanna ab raha matlab se kya matlab
hamare arsa-e-shatranj mein hai shah diwana
jise hasil ho aazadi use ardab se kya matlab
hamara sajda hai har gam par pir-e-tariqat ko
suluk-e-ishq mein sar hai qadam markab se kya matlab
hamein to yar se matlab hai 'sahir' aur yari se
hamara yar aur aghyar ke matlab se kya matlab

Ghazal
Jo la-mazhab ho usko millat-o-mashrab se kya matlab
Sahir dehlavi