اردو हिंदी
Jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein | Shaahi Shayari
jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein

Ghazal

Jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein

Musavvir Sabzwari

;

jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein
main tamam logon se mil chuka teri qurbaton ki talash mein

teri aankh se meri aankh tak faqat ek manzar-e-KHak hai
wahi sham-e-tira-sarisht si mili muddaton ki talash mein

koi KHwab sar se pare raha ye safar sarab-e-safar raha
main shanaKHt apni ganwa chuka gai suraton ki talash mein

ye jo jhankti hai nafas nafas koi mauj-e-KHun si uThi hui
bane zindagi ki na qatl-gah kahin wahshaton ki talash mein

mere zaKHm ab tu siyega kya mere aansuon ko piyega kya
tere zaiqe hi badal gae nai lazzaton ki talash mein