jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh
KHushiyon ke munh mein dard bhara zaiqa bhi rakh
har rasta kahin na kahin muD hi jaega
rishton ke bich thoDa bahut fasla bhi rakh
yun bhi na ho ki jo bhi uThe tujh mein jhank le
KHud mein na yun simaT koi dard-ashna bhi rakh
aisa na ho ki taza hawa ajnabi lage
kamre ka ek-adh daricha khula bhi rakh
shaKH aur phul rishta-e-yak-lamha ke asir
apni talab ke samne ye aaina bhi rakh
Ghazal
Jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh
Marghoob Ali