jo ja chuke hain ghaaliban utren kabhi zina tera
ai kahkashan ai kahkashan raushan rahe rasta tera
KHun-naba-e-dil ki kashid aaKHir ko tere dam se hai
kahne ko mera mai-kada lekin hai mai-KHana tera
pal-bhar mein baadal chha gae aur KHub barsaten huin
kal chaudhwin ki raat mein kuchh yun KHayal aaya tera
ai zindagi ai zindagi kuchh raushni kuchh raushni
chala raha tha shahr mein muddat se diwana tera
ab gayakon mein nam hai warna jo apne git the
sare dil ke zaKHm the dar-asl ehsan tha tera
ghazlen meri tere liye yaaden teri mere liye
ye ishq hai punji meri ye sher sarmaya tera
Ghazal
Jo ja chuke hain ghaaliban utren kabhi zina tera
Ejaz Obaid