اردو हिंदी
Jo is zamin se kabhi phir numu karunga main | Shaahi Shayari
jo is zamin se kabhi phir numu karunga main

Ghazal

Jo is zamin se kabhi phir numu karunga main

Haneef Najmi

;

jo is zamin se kabhi phir numu karunga main
to chehra chehra teri justuju karunga main

hun dard-mand tumhaara magar ye mat socho
jo tum kahoge wahi mu-ba-mu karunga main

meri wafa mein kuchh apni gharaz bhi shamil hai
so apne zaKHm ko pahle rafu karunga main

jo mujh ko dekhega fauran pukar uTThega
ki iKHtiyar tumhein hu-ba-hu karunga main

agar jahan mein koi aaina nahin tera
to phir tujhi ko tere ru-ba-ru karunga main

ye zindagi to sari-uzzawal hai 'najmi'
dil apna is ke liye kyun lahu karunga main