jo honi thi wo ham-nashin ho chuki
mere muddaa par nahin ho chuki
bura ho meri na-tawani tera
nigah-e-dam-e-wapsin ho chuki
umid-e-karam kuchh na saqi se rakh
ki ab wo mai-e-satgin ho chuki
sunaun agar ta-qayamat to kya
kahani meri dil-nashin ho chuki
karun kis tarah ab main arz-e-niyaz
ki baqi hai dar aur jabin ho chuki
tarawish kahan zaKHm-e-dil mein wo ab
kahin kuchh rahi hai kahin ho chuki
bas ab hath se rakh do 'shaida' qalam
tumhaari ghazal ki zamin ho chuki
Ghazal
Jo honi thi wo ham-nashin ho chuki
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida