jo ho wara-e-zat wo jina hi aur hai
jine ka ahl-e-dil ke qarina hi aur hai
tum sikka-e-rawan ki hawas mein ho tum ko kya
juya hain jin ke hum wo KHazina hi aur hai
hum sahil-e-najat pe kashti jala chuke
ab rahnuma koi na safina hi aur hai
likh kar diya tha us ne jo wada visal ka
us mein koi naya sa mahina hi aur hai
phenki na jaane us ne meri qash-e-dil kahan
angushtari mein ab to nagina hi aur hai
pahuncha sambhal sambhal ke sar-e-baam tab khula
manzil nahin ye us ki ye zina hi aur hai
wo din gae ki sote the hum bhi pasare panw
muddat se ab to shaghl-e-shabina hi aur hai
'haqqi' ye apna chashma-e-rangin utariye
dekhenge phir ki dida-e-bina hi aur hai
Ghazal
Jo ho wara-e-zat wo jina hi aur hai
Shaanul Haq Haqqi

