اردو हिंदी
Jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal | Shaahi Shayari
jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal

Ghazal

Jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal

Nazeer Akbarabadi

;

jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal
agar na dije to wuhin kya kya jatawe KHafgi itab akaD-bal

jo is bahane se hath pakDen ki dekh dil ki dhaDak hamare
to hath jhap se chhuDa le kah kar mujhe nahin hai kuchh is ki aTkal

jo chhup ke dekhen to taD jawe wagar sarihan to dekho phurti
ki aate aate nigah ruKH tak chhupa le munh ko ulaT ke aanchal

kare jo wada to is tarah ka ki dil ko sunte hi ho tasalli
jo sochiye phir to kaisa wada faqat bahana fareb aur chhal

na jul mein aawe na bhiD ke nikle na pas baiThe 'nazir' ek dam
baDa hi pur-fan baDa hi syana baDa hi shoKH aur baDa hi chanchal