اردو हिंदी
Jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shairi hai | Shaahi Shayari
jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shairi hai

Ghazal

Jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shairi hai

Ahmad Salman

;

jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shairi hai
jo kah saka tha wo kah chuka hun jo rah gaya hai wo shairi hai

ye shahr sara to raushni mein khila paDa hai so kya likhun main
wo dur jangal ki jhonpaDi mein jo ek diya hai wo shairi hai

dilon ke mabain guftugu mein tamam baaten izafaten hain
tumhaari baaton ka har tawaqquf jo bolta hai wo shairi hai

tamam dariya jo ek samundar mein gir rahe hain to kya ajab hai
wo ek dariya jo raste mein hi rah gaya hai wo shairi hai