jo dasht-e-tamanna mein har waqt bhaTakta hai
insan ka dil aisa masum parinda hai
ek KHak ka tuda hai par azmat-e-duniya hai
naqqash-e-haqiqat ne kya naqsh tarasha hai
main auron ko kya parkhun aaina-e-alam mein
muhtaj-e-shanasai jab apna hi chehra hai
hum apni haqiqat kya pahchan saken yaro
parda hai nigahon pe zehnon mein dhundlaka hai
soz-e-gham-e-hasti se 'wahid' teri nas nas mein
ye garm lahu kya hai bahta hua lawa hai

Ghazal
Jo dasht-e-tamanna mein har waqt bhaTakta hai
Wahid Premi