jo Dar apnon se hai ghairon se wo Dar ho nahin sakta
ye wo KHanjar hai jo sine se bahar ho nahin sakta
jo sach puchho to ye taswir bhi hai saneha jaisi
kisi bhi sanehe par koi shashdar ho nahin sakta
khaTakti hai kisi shai ki kami is dar-e-fani mein
shikasta baam-o-dar jis ke na hon ghar ho nahin sakta
ye aaKHir kyun ki har din ek mausam ek hi manzar
jahan zer-o-zabar ho us se behtar ho nahin sakta
na shamil ho jo aashufta-KHayali zehn-e-mohkam mein
wo kuchh bhi ho chaman-zar-e-muattar ho nahin sakta
kali ka lab badan kundan ka qamat sarw ki lekin
wafa na-ashna mere barabar ho nahin sakta
faqat surat mein kya rakkha hai ai husn-e-tamasha hain
ki kar-e-aina se main sikandar ho nahin sakta
kisi ko chahne se baz aana kaise mumkin hai
likha hai jo kitabon mein wo aksar ho nahin sakta
tere inkar ko is zawiye se dekhta hun main
tera milna bhi mear-e-muqaddar ho nahin sakta
ye mana aib bhi hain saikDon kis mein nahin hote
'amin-ashraf' magar tujh sa qalandar ho nahin sakta
Ghazal
Jo Dar apnon se hai ghairon se wo Dar ho nahin sakta
Syed Amin Ashraf