jo chaar aadamiyon mein gunah karte hain
KHuda ki di hui izzat tabah karte hain
buton ke hote jo mah par nigah karte hain
qasam KHuda ki baDa hi gunah karte hain
baDa hi zulm KHuda ki panah karte hain
hum aah aah to wo wah wah karte hain
wo bosa dete nahin gore gore galon ka
tumhein gawah hum ai mahr-o-mah karte hain
buto tumhin pe fida hain buto tumhin pe nisar
yaqin na ho to KHuda ko gawah karte hain
kabhi wo dekhte hain apne tegh o bazu ko
kabhi wo ghaiz se mujh par nigah karte hain
majal kya hai jo lun nam apne qatil ka
tumhin pe log magar ishtibah karte hain
KHayal rakhte hain har waqt dosti ka sharif
isi tarah se hamesha nibah karte hain
gunah kya hai jo dil se aziz rakhte hain
bane ho yusuf-e-sani to chah karte hain
agar ho sabr-o-qanaat ki daulat ai 'parwin'
gada bhi karte hain wo hi jo shah karte hain

Ghazal
Jo chaar aadamiyon mein gunah karte hain
Parveen Umm-e-Mushtaq