اردو हिंदी
Jo bhi milta hai usi ko pujne lagta hun main | Shaahi Shayari
jo bhi milta hai usi ko pujne lagta hun main

Ghazal

Jo bhi milta hai usi ko pujne lagta hun main

Shahid Jamal

;

jo bhi milta hai usi ko pujne lagta hun main
kya karun majburiyon hain ganw se aaya hun main

kal bhi ehsasat ke shoalon pe tha mera wajud
aaj bhi har lamha sone ki tarah lagta hun main

mujh se hi qaem hai ab tak tera tahzibi waqar
toD mat mujh ko ki ghar ka sadr darwaza hun main

main tere sahil pe aaya hun ki dekhun tera zarf
ai samundar tujh se kis ne kah diya pyasa hun main

sans tak lena bhi hai dushwar jab is shahr mein
zindagi tujh par mera ehsan hai zinda hun main

lakh buniyaadon mein tu ne Dhak ke rakkha hai mujhe
ai haweli ke khanDar ab bhi tarah hissa hun main

main ba-zid hun us pe ki sab mujh ko samjhen aaina
jabki aaina ba-KHubi jaanta hai kya hun main