jo bhi kuchh achchha bura hona hai jaldi ho jae
shahr jage ya meri nind hi gahri ho jae
yar uktae hue rahte hain aisa kar lun
aaj ki sham koi jhuTi kahani ho jae
yun bhi ho jae ki barta hua rasta na mile
koi shab lauT ke ghar jaana zaruri ho jae
yaad aae to badalne lage ghar ki surat
taq mein jalti hui raat purani ho jae
hum se kya puchhte ho shahr ke bare mein 'raza'
bas koi bhiD jo gungi kabhi bahri ho jae

Ghazal
Jo bhi kuchh achchha bura hona hai jaldi ho jae
Rauf Raza