اردو हिंदी
Jo be-ruKHi ka rang bahut tez mujh mein hai | Shaahi Shayari
jo be-ruKHi ka rang bahut tez mujh mein hai

Ghazal

Jo be-ruKHi ka rang bahut tez mujh mein hai

Irfan Sattar

;

jo be-ruKHi ka rang bahut tez mujh mein hai
ye yaadgar-e-yar-e-kam-amez mujh mein hai

sairab kunj-e-zat ko rakhti hai mustaqil
bahti hui jo ranj ki karez mujh mein hai

kasa hai ek fikr se mujh mein bhara hua
aur ek piyala dard se lab-rez mujh mein hai

ye karb-e-raegani-e-imkan bhi hai magar
tera bhi ek KHayal-e-dil-awez mujh mein hai

taza khile hue hain ye gulha-e-zaKHm-e-rang
har aan ek mausam-e-KHun-rez mujh mein hai

rakhti hai meri tab-e-rawan bab-e-harf mein
ye mustaqil jo dard ki mahmez mujh mein hai

ab tak hara-bhara hai kisi yaad ka shajar
'irfan'! ek KHitta-e-zarKHez mujh mein hai