jo be-ghar hain unhen ghar ki dua deti hain diwaren
phir apne sae mein un ko sula deti hain diwaren
asiri hi muqaddar hai to koi kya kare aaKHir
muqayyad kar ke apne mein saza deti hain diwaren
hamari zist mein aise bhi lamhe aate hain aksar
dararon ke tawassut se hawa deti hain diwaren
meri chiKHen fasilon se kabhi bahar nahin jatin
shikasta ho ke girne par sada deti hain diwaren
mayassar ghar nahin jin ko jo rahon mein bhaTakte hain
'zafar' un ko makanon ka pata deti hain diwaren
Ghazal
Jo be-ghar hain unhen ghar ki dua deti hain diwaren
zafar iqbal zafar