jo aaine se teri jalwa-samani nahin jati
kisi bhi dekhne wale ki hairani nahin jati
kabhi ek bar haule se pukara tha mujhe tum ne
kisi ki mujh se ab aawaz pahchani nahin jati
bhari mahfil mein mujh se pher li thin be-sabab nazren
wo din aur aaj tak un ki pashemani nahin jati
pise jate hain dil har-gam pe shor-e-qayamat se
KHiram-e-naz teri fitna-samani nahin jati
gawara hi na thi jin ko judai meri dam-bhar ki
unhin se aaj meri shakl pahchani nahin jati
wo mere hath ka shoKHi se jaana un ke daman tak
wo un ka naz se kahna ki nadani nahin jati
gareban ahl-e-wahshat ke siya karta tha hosh ek din
aur ab mujh se hi meri chaak-damani nahin jati
Ghazal
Jo aaine se teri jalwa-samani nahin jati
Anees Ahmad Anees