jitne qarin tum aae 
bante gae parae 
pas aae tum mere yun 
jaise ki KHwab aae 
kya KHizr ka bharosa 
aae ki wo na aae 
waiz bana hai mai-kash 
kya kya taghayyur aae 
shayad qarin hai manzil 
phir panw Dagmagae 
yaad aain chaTki kaliyan 
tum jab bhi muskurae 
kah do 'jamal' dil se 
hum se na dil lagae
        Ghazal
Jitne qarin tum aae
Harbans Lal Aneja u0027jamaalu0027

