jitna tha sargarm-e-kar utna hi dil nakaam tha
hosh jis ka nam hai wo bhi junun-e-KHam tha
hosh ka zamin tha saqi kaif-parwar dil ka shauq
jam tha pas aur be-andesha-e-anjam tha
KHatm karti jald kyunkar zist ki manzil ko sans
pher koson ka tha lekin fasla ek gam tha
josh-e-shorida-sari tha ta-ba-wahm-e-iKHtiyar
thak ke dam TuTa to phir aaram hi aaram tha
ab kahan wo aamad-o-raft-e-nafas ki shah-rah
ek kashakash thi ki jis ka zindagani nam tha
chaunk kar KHud manzar-e-hasti se aankhen pher lin
hichkiyan kahe ko thin poshida ek paigham tha
gul hua aaKHir bhaDak kar shoala-e-josh-e-shabab
thi kaf-e-mauj-e-hawadis aur charagh-e-sham tha
be-jale kis tarah banta shama parwane ka dil
wo use anjam kya dete jo mera kaam tha
tum ne KHud nakaam rakh ke us ki himmat ki thi past
aarzu-e-be-gunah par muft ka ilzam tha
Ghazal
Jitna tha sargarm-e-kar utna hi dil nakaam tha
Arzoo Lakhnavi