jitna chahungi tum wahan tak ho
ab batao ki tum kahan tak ho
na-rasai hi jag-hansai hai
han rasai ki tum kaman tak ho
baat achchhi bhi hai magar phir bhi
is buDhape mein tum jawan tak ho
apni mauj-e-hawas ke arse mein
TuTi kashti ke baadban tak ho
aaj ke daur mein makan kaisa
aasmanon ke aasman tak ho
apni hasti mein bad-gumani thi
sans mein sans ke guman tak ho
umr ka hadisa shajar kya tha
ek kali ho to baghban tak ho
bad-gumani ka Dol-Dal ke dekh
arsh par tum faqat ziyan tak ho
mawara hai yahan na ma-siwa ko
tum jo baqi ho bas guman tak ho

Ghazal
Jitna chahungi tum wahan tak ho
Sayeda Kausar Manawwar Shaikhpuri