jism par sabun tha pani ghusl-KHane se gaya
aap ki mistake Thahri main nahane se gaya
ek minister ne sajai mahfil-e-raqs-o-surur
nachne wali ka bil qaumi KHazane se gaya
qadri ne DanT kuchh aisi pilai sher ko
sher muslim-league ka tha dum hilane se gaya
aa gaya tha ek shaer dost pakistan se
chae se Thahra raha whiskey pilane se gaya
film taqsim-e-wirasat ka yahi the-end hai
dard kuchh aisa tha jo gardan dabane se gaya
ek gharib ustad ki tuition Thikane lag gai
majida dulhan bani teacher paDhane se gaya
us ke galon par kai dast-e-hinai sabt hain
ishq ka nashsha tha aaKHir mar khane se gaya
itni mahngai hai biryani koi lata nahin
phir koi bhuka mujawar aastane se gaya
us ki mayyat mein sabhi aKHbar paDh paDh kar gae
'KHalid'-e-irfan shaer tha bulane se gaya
Ghazal
Jism par sabun tha pani ghusl-KHane se gaya
Khalid Irfan