jism ki chaukhaT pe KHam dil ki jabin kar di gai
aasman ki chiz kyun sarf-e-zamin kar di gai
mere hathon ki lakiron hi mein KHam rakkha gaya
meri uftad-e-tabiat hi ghamin kar di gai
kal meri be-KHwab aankhon ke muqabil raat-bhar
naqsh taron mein wo chashm-e-surmagin kar di gai
KHun rulwati rahi guzre zamanon ki shabih
thak gain aankhen to gharq-e-satgin kar di gai
khoT sone ke tasalsul mein kahin aai zarur
yun abas to sai-e-dil baatil nahin kar di gai
talKH kar leta hun har lazzat ki shirini ko main
kyun nigah meri nigah-e-pesh-bin kar di gai
naqsh aaKHir dil se us ru-e-hasin ka miT gaya
KHatm aaKHir sohbat-e-nam-o-nagin kar di gai
Ghazal
Jism ki chaukhaT pe KHam dil ki jabin kar di gai
Khursheed Rizvi