jism ke KHol mein ek shahr-e-ana rakkha hai
nam jiwan ka tabhi hum ne saza rakkha hai
hum makinon ko nahin koi KHushi se matlab
faisla shahr ke wali ne suna rakkha hai
KHushiyan ja baiThin kahin unchi si ek Tahni par
dil ke bahlane ko ek lafz-e-qaza rakkha hai
aankhon mein KHwab chubhan sone nahin deti hai
ek muddat se hamein tu ne jaga rakkha hai
jin ko insan bhi kahna nahin jachta 'farruKH'
un ko mabud zamane ne bana rakkha hai
Ghazal
Jism ke KHol mein ek shahr-e-ana rakkha hai
Ibn-e-Ummeed