jise tu ne samjha hai zindagi usi inqalab ka nam hai
kabhi din hua kabhi shab hui kabhi subh hai kabhi sham hai
tah-e-KHak bhi dil-e-mubtala ko kabhi qarar na aaega
hun abhi se hashr ka muntazir ki nawed jalwa-e-am hai
koi hausla hai na muddaa koi aarzu hai na iltija
mere dil mein ek teri yaad hai mere lab pe ek tera nam hai
wahan wade hote hain aae din sar-e-sham KHwab mein aaenge
yahan iztirab-e-tamam se meri shab ki nind haram hai
tu sharab de ki na de magar mere dil ko toD na saqiya
ki gharib baada-parast ka yahi shisha hai yahi jam hai
mere zauq-e-did ka ho bura kahan ja ke senke koi nazar
na tajalli-e-sar-e-rah-guzar na tajalli-e-sar-e-baam hai
meri qaid-e-zist ke sath hi hai ajal ki qaid lagi hui
hun sarir mein wo asir-e-gham jo qafas mein bhi tah-e-dam hai

Ghazal
Jise tu ne samjha hai zindagi usi inqalab ka nam hai
Sareer Kabiri