jis waqt us ne baKHt hamare banae the
hum ne hatheliyon pe sitare banae the
kuchh panchhiyon ne ghonsle peDon ke jhunD mein
unchi jaghon pe KHauf ke mare banae the
main ne bas ek nahr nikali thi hath se
dariya ne aap apne kinare banae the
hasb-e-murad dast-e-hunar bolne laga
gunge ne chand aise ishaare banae the
kuchh zindagi ba-yaad-e-azizan zarur thi
kuchh dost hum ne jaan se pyare banae the
hum ne haya pahan ke mohabbat-shiar ki
guDiyon ke waste bhi gharare banae the
dil mein 'nasim' husn ki takfil ke liye
aankhon ne kaise kaise idare banae the

Ghazal
Jis waqt usne baKHt hamare banae the
Naseem Abbasi