اردو हिंदी
Jis taraf bhi dekhti hun ek hi taswir hai | Shaahi Shayari
jis taraf bhi dekhti hun ek hi taswir hai

Ghazal

Jis taraf bhi dekhti hun ek hi taswir hai

Rakhshan Hashmi

;

jis taraf bhi dekhti hun ek hi taswir hai
ai KHuda kya wo meri qismat mein bhi tahrir hai

is hatheli pe mohabbat ki lakiren hain bahut
han magar zanjir mein uljha KHat-e-taqdir hai

mere raste mein khaDi hai chin ki diwar si
is taraf hain KHwab mere us taraf tabir hai

jaane kyun meinhdi racha rakkhi hai mere wir ne
jaane kyun hum laDkiyon ke panw mein zanjir hai

hum to karte the mohabbat bhi ibaadat ki tarah
ab khula 'raKHshan' mohabbat qabil-e-tazir hai