jis ko nisbat ho tumhaare nam se
kyun Dare wo gardish-e-ayyam se
phir koi aawaz aai kan mein
phir khanak uTThe faza mein jam se
un nigahon ko na jaane kya hua
jin mein raqsan the nae paigham se
phir kisi ki bazm ka aaya KHayal
phir dhuan uTTha dil-e-nakaam se
kaun samjhe hum pe kya guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThta hai zikr-e-sham se
Ghazal
Jis ko nisbat ho tumhaare nam se
Mahesh Chandra Naqsh