اردو हिंदी
Jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui | Shaahi Shayari
jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui

Ghazal

Jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui

Murtaza Birlas

;

jis ko dekho zard chehra aankh pathrai hui
KHub ai isa-nafas teri masihai hui

karb ki ek mushtarak tahrir har chehre pe thi
ajnabi logon se pal bhar mein shanasai hui

be-usuli maslahat ke nam se phuli-phali
hum usulon par lage jine to ruswai hui

kar raha hun haal mein guzre hue lamhe talash
gutthiyan suljha raha hun apni uljhai hui

sar se uncha tha jo pani sar se uncha hi raha
jitna qad baDhta gaya utni hi gahrai hui