اردو हिंदी
Jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai | Shaahi Shayari
jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai

Ghazal

Jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai

Salahuddin Nadeem

;

jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai
zindagi hai ki kisi dasht ki pahnai hai

shoala-e-gham ko rag-e-jaan mein kiya jazb to phir
har nazar surat-e-KHurshid nazar aai hai

Dub kar dil mein ubharti hai koi mauj-e-KHayal
abr chhaya hai kabhi barq si lahrai hai

git ke rup mein paband bahaaron ki faza
chaman-e-dil mein mere aur nikhar aai hai

lazzat-e-ishq se bharpur gham-e-dil ki sada
parda-e-shab mein kai chand uDa lai hai

shabnami aankh se dekho to chaman ki jaanib
sina-e-gul mein shararon ne numu pai hai

sochta hun ki zamane se nikal kar aage
phir wahi main hun wahi gosha-e-tanhai hai

apne hone ki haqiqat ka yaqin hai lekin
aankh kyun jalwa-e-hasti ki tamannai hai

ye ajab silsila-e-qaid-e-nazar hai ki 'nadim'
har nazar apni hi duniya ki tamashai hai