jis ko dekho KHwab mein uljha baiTha hai
apne hi payab mein uljha baiTha hai
aansu aansu jis ne dariya par kiye
qatra qatra aab mein uljha baiTha hai
bhul ke jauhari apne lal-o-jawahar ko
shauq-e-dur-e-nayab mein uljha baiTha hai
wo jo bagula ban kar uDta phirta tha
dhaga dhaga sarab mein uljha baiTha hai
nisf nahaar pe yun lagta hai suraj bhi
waqt ki aab-o-tab mein uljha baiTha hai
yaad-e-kitab-e-shauq na hogi KHatm kabhi
insan ek ek bab mein uljha baiTha hai
Ghazal
Jis ko dekho KHwab mein uljha baiTha hai
Mashkoor Husain Yaad