jis ko dekha so yahan dushman-e-jaan hai apna
dil ko jaane the hum apna so kahan hai apna
qissa-e-majnun-o-farhad bhi ek parda hai
jo fasana hai yahan sharh-o-bayan hai apna
wasf kahne mein tere husn ke sharminda hun
us ke qabil na zaban hai na dahan hai apna
jis ko jaana ho bhala us ko bura kya kahiye
go ki bad-waza hai par ab to miyan hai apna
Ghazal
Jis ko dekha so yahan dushman-e-jaan hai apna
Shaikh Zahuruddin Hatim