jis din se haram ho gai hai
mai KHuld-maqam ho gai hai
qabu mein hai un ke wasl ka din
jab aae hain sham ho gai hai
uftad-e-chaman ye hai ki bulbul
KHud hi tah-e-dam ho gai hai
tauba se ghaTi ye qadr-o-qimat
mai dam ke dam ho gai hai
aati hai qayamat us gali mein
pamal KHiram ho gai hai
tauba se hamari botal achchhi
jab TuTi hai jam ho gai hai
kuchh zahr na thi sharab-e-angur
kya chiz haram ho gai hai
lab tak jo kabhi na aae wo aah
unchi so baam ho gai hai
mai-nosh zarur hain wo na-ahl
jin par ye haram ho gai hai
bujh bujh ke jali thi qabr par shama
jal jal ke tamam ho gai hai
aa jae use jo aae mujh tak
maut un ka payam ho gai hai
har baat mein honTh par hai dushnam
ab husn-e-kalam ho gai hai
sar KHam hai haram mein su-e-taiba
kuchh KHu-e-salam ho gai hai
daulat dil ki buto hai mahfuz
allah ke nam ho gai hai
phir phir ke nazar hui hai sadqe
jam kar KHat-e-jam ho gai hai
hai dur abhi 'riyaz' manzil
din KHatm hai sham ho gai hai

Ghazal
Jis din se haram ho gai hai
Riyaz Khairabadi