jis dar pe tera naqsh-e-kaf-e-pa na rahega
rindon ke liye qabil-e-sajda na rahega
jata to hai us jalwa-gah-e-naz mein ai dil
kya hoga agar zabt ka yara na rahega
parwane ko phunka hai to ai shama samajh le
tera bhi kaleja kabhi ThanDa na rahega
diwane ko zanjir se gahra hai talluq
kyun us ko teri zulf ka sauda na rahega
parwarda-e-tufan hai mere dil ka safina
sahil ki tarah ye lab-e-dariya na rahega
jhunjhla ke kaha us ne ye aaina paTak kar
munh is mein jo dekhega wo yakta na rahega
marne ki adaon se nahin 'barq' jo waqif
rahte hue zinda bhi wo zinda na rahega

Ghazal
Jis dar pe tera naqsh-e-kaf-e-pa na rahega
Rahmat Ilahi Barq Aazmi