jinnon aazmana paDa zindagi mein
sabhi kuchh nibhana paDa zindagi mein
sahi jis pe baiThe na sur-tal mere
wo naghma bhi gana paDa zindagi mein
na dastar jae isi zid mein hum ko
bahut kuchh ganwana paDa zindagi mein
jo bekar baaton pe ruThe the hum se
unhen bhi manana paDa zindagi mein
mile hum ko kuchh log aise bhi jin se
swayanm ko bachana paDa zindagi mein
wo gahrai mein kitne utre hain dil ki
sabhi se chhupana paDa zindagi mein
rahe aise haalat bachpan se jin mein
'asar' KHud kamana paDa zindagi mein

Ghazal
Jinnon aazmana paDa zindagi mein
Pramod Sharma Asar