jin ko har haalat mein KHush aur shadman pata hun main
un ke gulshan mein bahaar-e-be-KHizan pata hun main
subh ki manzil ka taron se pata kya puchhna
zulmat-e-shab karwan-dar-karwan pata hun main
chand ke us par suraj se udhar taron se dur
raqs karte roz-o-shab lakhon jahan pata hun main

Ghazal
Jinko har haalat mein KHush aur shadman pata hun main
Afsar Merathi