اردو हिंदी
Jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah | Shaahi Shayari
jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah

Ghazal

Jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah

Wali Aasi

;

jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah
wo hamein bhul gae ek kahani ki tarah

dosto DhunD ke hum sa koi pyasa lao
hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah

gham ko sine mein chhupae hue rakhna yaro
gham mahakte hain bahut raat ki rani ki tarah

tum hamare the tumhein yaad nahin hai shayad
din guzarte hain baraste hue pani ki tarah

aaj jo log tere gham pe hanse hain 'wali'
kal tujhe yaad karenge wahi 'fani' ki tarah