jite-ji dukh sukh ke lamhe aate jate rahte hain
hum to zara si baat pe pahron ashk bahate rahte hain
wo apne mathe par jhuTe rog saja kar phirte hain
hum apni aankhon ke jalte zaKHm chhupate rahte hain
soch se paikar kaise tarshe soch ka ant nirala hai
KHak pe baiThe aaDe-tirchhe naqsh banate rahte hain
sahil sahil dar saje hain mauj mauj zanjiren hain
Dubne wale dariya dariya jashn manate rahte hain
'aKHtar' ab insaf ki aankhen zar ki khanak se khulti hain
hum pagal hain lohe ki zanjir hilate rahte hain
Ghazal
Jite-ji dukh sukh ke lamhe aate jate rahte hain
Akhtar Imam Rizvi