اردو हिंदी
Jine ka na kuchh hosh na marne ki KHabar hai | Shaahi Shayari
jine ka na kuchh hosh na marne ki KHabar hai

Ghazal

Jine ka na kuchh hosh na marne ki KHabar hai

Asghar Gondvi

;

jine ka na kuchh hosh na marne ki KHabar hai
ai shobada-pardaz ye kya tarz-e-nazar hai

sine mein yahan dil hai na pahlu mein jigar hai
ab kaun hai jo tishna-e-paikan-e-nazar hai

hai tabish-e-anwar se aalam tah-o-baala
jalwa wo abhi tak tah-e-daman-e-nazar hai

kuchh milte hain ab puKHtagi-e-ishq ke aasar
nalon mein rasai hai na aahon mein asar hai

zarron ko yahan chain na ajram-e-falak ko
ye qafila be-tab kahan garm-e-safar hai

KHamosh ye hairat-kada-e-dahr hai 'asghar'
jo kuchh nazar aata hai wo sab tarz-e-nazar hai