ji ka janjal hai ishq miyan qissa ye tamam karo 'wali'
baDi raat gai ab so jao kuchh der aaram karo 'wali'
sab jagne wale raaton ke shab-zinda-dar nahin hote
tum apne sath mein auron ki kyun nind haram karo 'wali'
sab bichhDe sathi mil jaen murjhaen chehre khil jaen
sab chaak dilon ke sil jaen koi aisa kaam karo 'wali'
kyun ghabrae ghabrae ho kyun uktae uktae ho
ek muddat ke baad aae ho kuchh din to qayam karo 'wali'
hum dara hain na sikandar hain darwesh hain mast qalandar hain
chaho to hamare sath basar tum bhi ek sham karo 'wali'
jab bhul gae tum yaron ko apne pyaron dil-daron ko
phir shahr ke mansab-daron ko jhuk ke salam karo 'wali'
tum nahaq bhes badalte ho hum ko yunhi achchhe lagte ho
kyun qashqa khincho dair mein baiTho tark-e-islam karo 'wali'
Ghazal
Ji ka janjal hai ishq miyan qissa ye tamam karo wali
Wali Aasi