اردو हिंदी
Ji chahta hai jina jazbaat ke mutabiq | Shaahi Shayari
ji chahta hai jina jazbaat ke mutabiq

Ghazal

Ji chahta hai jina jazbaat ke mutabiq

Iftikhar Raghib

;

ji chahta hai jina jazbaat ke mutabiq
haalat kar rahe hain haalat ke mutabiq

jis darja hijr-rut mein aankhen baras rahi hain
ghazlen bhi ug rahi hain barsat ke mutabiq

sukh chain aur KHushi ka andaza mat lagao
asbab o mal-o-zar ki buhtat ke mutabiq

ho shahr ke mutabiq hasil har ek sahulat
mahaul par sukun ho dehat ke mutabiq

dekho KHulus-e-niyat jazbaat aur mohabbat
mat chahaton ko tolo saughat ke mutabiq

chadar hi ke mutabiq phailao panw 'raghib'
mear-e-zist rakkha auqat ke mutabiq