اردو हिंदी
Ji chaha jidhar chhoD diya tir ada ko | Shaahi Shayari
ji chaha jidhar chhoD diya tir ada ko

Ghazal

Ji chaha jidhar chhoD diya tir ada ko

Rasa Rampuri

;

ji chaha jidhar chhoD diya tir ada ko
chuTki mein uDae hue phirte hain qaza ko

sajdon ka bhi mauqa na raha ahl-e-wafa ko
phir phir ke miTate hain wo naqsh-e-kaf-e-pa ko

jab pate hain sar dhunte hi pate hain 'rasa' ko
samjhae kahan tak koi is mard-e-KHuda ko

yun hum ne chhupai hai tere wasl ki hasrat
jis tarah chhupata hai KHata-war KHata ko

ab chhoD 'rasa' ishq-e-butan dekh kaha man
kambaKHt tujhe munh bhi dikhana hai KHuda ko